Karti hun pyar itna, tumhare bina reh nahi sakti.
Tum bin hun main adhuri, tum bin hun main akeli, jeena
hai sirf tumhari hokar, tum bin zindagi guzar nhi sakti.
Bahut yaad karti hun tumhe, har pal yaad aate ho tum,
akeli hokar bhi akeli nhi hoti, har pal saath khade nazar aate ho tum.
Tanhaiyon main tumhari aawaz sunai deti hai, udasi main
tumhari hasi sunai deti hai, “tum khush to main khush” issi main apni khushi
dikhai deti hai.
Majboor ho jana chahti hun tumhare pyar ki wajah se, bana
dena chahti hun isse apni kamzori, chahe tum ya chahe main kitni hi koshish
karlein, alag na ho payein kabhi chahkar bhi.
Ye waqt hai behad khoobsurat, isse sunder koi pal nhi, ek
dusre par marte hain hum, kisi aur ki hume zarurat nhi.
Kitna pyar hai tumse, likhna chahti hun deewaron par, koi
nazar na laga de hamare junoon ko, taale laga dena chahti hun sabki nigahon
par.
Tumhara aur apna naam likhna hai mujhe patharon par, hawa
ka jhoonka, pani ki lehrein, na asar daal sakein shabdon ki lakeeron par.
Umar bhar naam ko hum padhein, ur jaane ke baad naam amar
rahe, hum dono ka pyar kabhi kam na ho, hum dono ka pyar amar rahe……
meenakshi.